Urdu Sher - Tumblr Posts
غلطی بس اتنی تھی کہ پھولوں کے ساۓ میں چھپے ہوئے سانپ کو نہ دیکھ سکیں ~
Ghalti bas itni thi k phoolon k saye main chupe hue saanp ko na dekh saki ~
ہمیں تو دو پل بھی پیار کے نصیب نہ ہوئے غالب
اور بدنام ایسے ہوئے جیسے عشق ہم نے ایجاد کیا تھا
مرزا غالب ~
Humain toh do pal bhi pyaar k naseeb na hue Ghalib
Aur badnaam aise hue jaise ishq hum ne ijaad kiya tha
Mirza Ghalib ~
*Credits go to rightful owners
تم ناراض ناراض سے لگتے ہو ، کوئی ترکیب بتاؤ منانے کی
ہم زندگی امانت رکھ دیں گے ، تم قیمت بتاؤ مسکرانے کی ~
Tum naraz naraz se lagte ho, koi tarkeeb batao manane ki
Hum zindagi amanat rakh de ge, tum qeemat batao muskurane ki ~
*Credits go to rightful owners
Ashiqi mein 'mir' jaise khawab mat dekha karo,
Baavle ho jaoge mahtaab mat dekha karo.
Ahmad Faraz
Qayamat-khez hain ankhein tumhari,
Tum aakhir khawab kis ke dekhte ho.
Jaun Eliya
Teri har baat mohabbat mein gavara kar ke,
Dil ke bazar mein baithe hain khasara kar ke.
Aate jaate hain kai rang mere chehre par,
Log lete hain maza zikr tumhara kar ke.
Ek chingari nazar aai thi basti mein use,
Wo alag hat gaya andhi ko ishara kar ke.
Asmanon ki taraf phenk diya hai main ne,
chand mitti ke charaghon ko sitara kar ke.
Main wo dariya hun ki har bund bhanvar hai jis ki,
Tum ne achcha hi kiya mujh se kinara kar ke,
Muntazir hun ki sitaron ki zara aankh lage,
chand ko chhat pe bula lunga ishara kar ke.
RAHAT INDORI
Ai kaash hamaari qismat mein aisi bhi koi shaam aa jaae
Ek chaand falak par niklaa ho ek chaand sar-e-baam aa jaae
ANWAR MIRZAPURI
🗓️ 05/June/2023
📍Mumbai
“sar-e-baam” mean:
Chat k uper / on top of the terrace
Jab tujhe yaad kar liya subah mahak mahak uthi,
Jab tera gam jagaa liya raat machal machal gai.
FAIZ AHMAD FAIZ
Hey Hey Laakh Laakh Roz Aake Bas Jaate Hai,
Is Sheher Se Is Dil Laga Ke Phas Jaate Hai,
Sone Ki Raahon Mein Sone Ko Jagah Nahi,
Shola Hai Ya Hai Bijuriya, Dil Ki Bajariya, Bambai Nagariya.
Dev Kohli & Vishal Dadlani
Aankhon ke pochne se lagaa aag kaa pata,
Yun chehra pher lene se chupta nahi dhuaan.
GULZAR
بات وہ آدھی رات کی رات وہ پورے چاند کی
چاند بھی عین چیت کا اس پہ ترا جمال بھی
پروین شاکر
Baat wo adhi raat ki raat wo pure chaand ki,
Chaand bhi ain chait ka us pe tera jamaal bhi.
PARVEEN SHAKIR
01.08.2023 🌕♥️
Hamare kirdar k dagoon pe tanz karte ho,
Hamare pass bhi hai aaina, Dikhaen kya?
Unknown
Tum mukhatib bhi ho qarib bhi ho,
Tum ko dekhien ki tum se baat karen.
Firaq Gorakhpuri
Ise hasaao, yeh mar na jaaye,
Yeh muddaton se hasaa nhi hai,
Kiraaye par tum makaan le lo,
Mere to dil mein jagah nhi hai.
Hamza Hassam
اسے ہنساؤ، یہ مر نہ جائے،
یہ مدتوں سے ہنسا نہیں ہے،
کرایے پر تم مکان لے لو،
میرے تو دل میں جگہ نہیں ہے۔
حمزہ حسام
Yeh shafaq chaand sitaare nahin achchhe lagte,
Tum nahin ho toh nazaare nahin achchhe lagte.
INDIRA VARMA
یہ شفق چاند ستارے نہیں اچھے لگتے ،
تم نہیں ہو تو نظارے نہیں اچھے لگتے۔
اندرا ورما
Hamein hai shauq ki be-parda tum ko dekhenge,
Tumhein hai sharm to ankhon pe haath dhar lena.
DAGH DEHLVI
Chupke chupke rat din aansu bahana yaad hai,
Ham ko ab tak aashiqui ka wo zamana yaad hai.
Hasrat Mohani
ilaaj apna karate phir rahe ho jaaane kis kis se,
Mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyn nahi karte,
Tumhare dil pe apna naam likkha ham ne dekha hai,
Hamari cheez phir ham ko inayat kyn nahi karte.
Farhat Ehsaas
Yeh Chaman-zar yeh Jamuna ka kinara yeh Mahal,
yeh Munaqqash dar-o-divar yeh Mehrab yeh Taaq,
Ek shahenshah ne daulat ka sahara le kar,
Ham gharibon ki mohabbat ka udaya hai mazaq.
SAHIR LUDHIANVI
Jaan insan ki lene Walon mein,
Ek hai maut dusra hai ishq.
MEER MEHDI MAJROOH