Urdu Shayari - Tumblr Posts
بات وہ آدھی رات کی رات وہ پورے چاند کی
چاند بھی عین چیت کا اس پہ ترا جمال بھی
پروین شاکر
Baat wo adhi raat ki raat wo pure chaand ki,
Chaand bhi ain chait ka us pe tera jamaal bhi.
PARVEEN SHAKIR


01.08.2023 🌕♥️
Hamare kirdar k dagoon pe tanz karte ho,
Hamare pass bhi hai aaina, Dikhaen kya?
Unknown
Ise hasaao, yeh mar na jaaye,
Yeh muddaton se hasaa nhi hai,
Kiraaye par tum makaan le lo,
Mere to dil mein jagah nhi hai.
Hamza Hassam
اسے ہنساؤ، یہ مر نہ جائے،
یہ مدتوں سے ہنسا نہیں ہے،
کرایے پر تم مکان لے لو،
میرے تو دل میں جگہ نہیں ہے۔
حمزہ حسام
Yeh shafaq chaand sitaare nahin achchhe lagte,
Tum nahin ho toh nazaare nahin achchhe lagte.
INDIRA VARMA

یہ شفق چاند ستارے نہیں اچھے لگتے ،
تم نہیں ہو تو نظارے نہیں اچھے لگتے۔
اندرا ورما
Hamein hai shauq ki be-parda tum ko dekhenge,
Tumhein hai sharm to ankhon pe haath dhar lena.
DAGH DEHLVI
Chupke chupke rat din aansu bahana yaad hai,
Ham ko ab tak aashiqui ka wo zamana yaad hai.

Hasrat Mohani
ilaaj apna karate phir rahe ho jaaane kis kis se,
Mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyn nahi karte,
Tumhare dil pe apna naam likkha ham ne dekha hai,
Hamari cheez phir ham ko inayat kyn nahi karte.
Farhat Ehsaas

Yeh Chaman-zar yeh Jamuna ka kinara yeh Mahal,
yeh Munaqqash dar-o-divar yeh Mehrab yeh Taaq,
Ek shahenshah ne daulat ka sahara le kar,
Ham gharibon ki mohabbat ka udaya hai mazaq.
SAHIR LUDHIANVI



Tum jaante ho mujhe kya pasand hai?
Barasti barish.
Samundar ki lehrain.
Phoolon ki khushboo.
Chaandni raatain.
Achhi shayari.
Aur sab se zyada.
Is tehreer ka pehla lafz.
تم جانتے ہو مجھے کیا پسند ہے؟
برستی بارش۔
سمندر کی لہریں۔
پھولوں کی خوشبو۔
چاندنی راتیں۔
اچھی شاعری۔
اور سب سے زیادہ۔
اس تحریر کا پہلا لفظ.
Bad-Qismati ko ye bhi gavara na ho saka,
Ham jis pe mar mite vo hamara na ho saka.
Shakeb Jalali




Zamane bhar k jaghde, ghar k kisse, kaam ki baatien,
Balaa har ek tal jaaye agar tum milne aajaao.
Gulzar
Teri kayi tasveerein hai mere paas magar,
Dil fir bhi Tera deedar chahta hai.
Unknown



Kaun badan se aage dekhe aurat ko,
Sab ki aankhein girvi hain is nagri mein.
Hamida Shaheen


Mujh se pehli si mohobbat mere mehboob na mang.
Dil peh lagaya zakham aksar awaz cheen letay hain

यार मिसाल-ए-ओस चले
पाँव के तले फिरदौस चले
कभी डाल डाल, कभी पात पात
मैं हवा पे ढूँढू उसके निशान...
⭑𓂃⭑𓂃.𖥔 ݁ 🪐˖⭑𓂃⭑𓂃.𖥔 ݁ 🪐˖⭑𓂃
She walks like the dew drops
Paradise seems to move under her feet
At times on branches, at times on leaves
I search for her traces in the air...
~Chhaiyan Chhaiyan (Pardes)
And Allama Iqbal said,
گرتے ہی سجدوں میں ہم اپنی حسرتوں کی خاطر اقبال،
اگر گرتے سرف عشق خدا میں تو کوئی حسرت ادھوری نہ رہتی~
Girte h sajdon mein hum apni hasraton ki khatir Iqbal,
Agar girte sirf Ishq-e-khuda mein toh koi hasrat adhuri na rehti.
When Mirza Ghalib said,
Ummeedein insaan se lagakar, shikhwa Khuda se karte ho
Tum bhi Ghalib kamaal karte ho


اُمیدیں انسان سے لگاکر، شکھوا خدا سے کرتے ہو
تم بھی غالب کمال کرتے ہو۔
یہ جو گزر رہا ہے، وو وقت نہیں، زندگی ہے۔
Yeh jo guzar rha h, vo waqt nahi, zindagi h
Aitbaar nahin, ehtiyaat kijiye. Duniya badi zaalim h meri jaan, yeh kisi ko nhi bakshti.
رات بھی نا بٹی نا کٹی ...