Aesthetic Poem - Tumblr Posts
تم مجھے روزقیامت ملنا،
تم سے میرا حساب باکی ہے۔
Tum mujhe roz-e-qayamat milna,
Tum se mera hisab baaki hai.
~Lines
Tumhara hijr mana luun agar ijazat ho,
Main dil kisi se laga luun agar ijazat ho.
Jaun Eliya

Sansoon ka safar bhi tum se tum tak hai,
Haan meri mohabbat bhi tum se tum tak hai,
Jazba ishq socha na hota to rasta badal lete,
Mere rastoon ka guzar tum se tum tak hai.
Unknown
Sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi
Tum aae to is raat kii auqaat banegii
JAAN NISAR AKHTAR
سو چاند بھی چمکیں گے تو کیا بات بنے گی
تم آئے تو اس رات کی اوقات بنے گی
جاں نثاراختر


Jamhuriyat ik tarz-e-hukumat hai ki jis mein,
Bandon ko gina karte hain taula nahin karte.
~ALLAMA IQBAL

Wo itefaq se rasty mai mil jaye kahi,
Bs isi shoq ne hume Awara bana dia hai.
~JAUN ELIYA


لازم نہیں حیات میں احباب کا ہجوم ہو
مل جائے وفادار تو ایک شخص بہت ہے
Lazim nahi hayat me ehbab ka hajuum ho,
Mil jaye wafadar to eik shakhs buhat hai.
~Unknown



Pic credit - All thanks to @among-thestarsss
Pattharon se pyaar kya nadaan the ham,
Galti hamse hui kyn ke insaan the ham,
Aaj jinhe hamse baat karne mein takleef hoti hai,
Kabhi us shakhs ki jaaan the ham.!!
~ Unknown
Waqt ke sath main agar kabhi yaaad aaao,
Haaye, yeh galat fehmi kaisi hai mujhmein.
KHAN FURQAN


Wo lamhe ishq-o-masti ke sada paband nhin rehte,
Sada khushiyaan nhi rehti, Hamesha ghum nhin rehte,
Zaraa dekho k darwaze par dastak kon deta hai,
Mohabbat ho toh keh dena, yaha ab ham nhi rehte.

Bichad kar phir milenge yakeen kitna tha,
Wo tha khawaab lekin haseen kitna tha,
Bade hi pyaar se de gaya ilzaam be-wafaai ka,
Haseen toh khair tha hi lekin zaheen kitna tha.
~Unknown
Samundar mein utarta hoon toh ankhein bheeg jaati hain,
Teri ankhon ko padhta hoon toh ankhien bheeg jaati hain.
Tumhara naaam likhne ki ijaazat cheen gayi jabse,
Koi bhi lafz likhta hoon toh ankhein bheeg jaati hain.


Falak pe chaand sitare nikalte hain har shab,
Sitam yahi hai nikaltaa nahin hamara chaand.
PANDIT JAWAHAR NATH SAQI
فلک پہ چاند ستارے نکلتے ہیں ہر شب
ستم یہی ہے نکلتا نہیں ہمارا چاند
پنڈت جواہر ناتھ ساق


Na shab o roz hi badle hain na haal accha hai,
Kis barhaman ne kaha tha ki ye saal accha hai.
Ahmad Faraz
Tamam umr kahan koi saath deta hai,
Ye janta hun magar thodi dur saath chalo.
Ahmad Faraz


Phir soch ke ye sabr kiya ahl-e-havas ne,
Bas ek mahina hi to ramzaan rahega.
FARHAT EHSAS


05/04/2023 🌕

Hasrat, hasrat hi rahe toh behtar hai,
Chaand agar hasil ho jaye toh kaha chaand rehta hai.
Kitni jaldi yeh armaan guzarjata haii,
Pyaas lagti nahi iftar guzarjata haii,
Hum gunegaroh ke magfrath kar mere maula,
Ibadath hoti nahi hai puri Aur ramadan guzar jata haii.
~unknown
مبارک انکو عیدیں ہو کہ جن کو تم میسر ہو
ہمارے ہاتھ خالی ہیں ہمارا سوگ بنتا ہے
Mubarak unko eiden ho ke jin ko tum mayassar ho,
Hamare hath khaali hain hamara soog banta hai .
UNKNOWN


Honton pe mohabbat ke fasane nhi aate,
Sahil pe samandar ke khazane nhi aate.

Palkein bhi chamak uthti hai sote mein hamari,
Ankhon ko abhi khawaab chupane nhi aate.
Bashir Badr