Umm Taimiyyah - Tumblr Posts
As long as there's a war between your soul, mind and heart...you will feel distraught. The key to live a harmonious life is to align these three, in the obedience to Allah subhanahuwata'ala. Teach your mind to not wander on things out of your control. Hold your heart by it's throat if it seems dwelling on desires. Discipline your soul in order to leave off things displeasing to Allah.
The moment your soul follows the que of obedience to Allah, your heart is satisfied with the decree and your mind focuses on the pre-existing blessings...you will achieve peace that's essential for your living.
- Umm Taimiyyah 🕊️
Bury your past as you'd bury a dead one. No matter how beautiful and beloved it was to you. And when you remember it, seek forgiveness for it as you'd do for a loved one who passed away. When you mourn it's passing, don't try to bring it to your present, like one would not excavate the graves in a hope that the one buried would somehow come back to life. So each time, ask Allah to forgive you for what you buried. For what was. And live the reality of what's there right now, in this moment. Move on, for you have no choice. But when you do so, do it with grace.
- Umm Taimiyyah 🕊️

Thank Allah for the pain, the sting in your chest and the burns in your heart...those that make you talk to Him Alone in the darkness of the night.
~ mashriqiyyah

Some of the most painful events in your life will end up being the most liberating and rewarding things to happen for you if you observe patience.
~ mashriqiyyah

If their absence brings more peace than their presence ever did, be assured that it was never meant to be.
~ mashriqiyyah

Hum insan baaz cheezon aur logo'n ke kho Jane ke mehaz tasawwur se bhi dar jate hain. Hum kehte hain, Aisa kabhi na ho, agar aisa hua to hum mar jayenge, ya ye na hua to zindagi ko jeena mushkil hojayega, ya ye ek Shey hai jiske baghayr hum nahi reh sakte...
Lekin pata hai phir kya hota hai? Jab hum kisi pyari shey ya insan ke humse door chalay jane ke khauf ko apne andar yun sambhalkr rakhte hain, ke phir wo khauf kahin na kahin humaray aur Allah ke talluq me dakhalandazi karne lag jaye to pata hai Allah subhanhuwata'ala kya saabit Karwa Detay Hain humpar? Ke duniya me aisa kuch nahi hai, Siwaye Allah Ki Zaat ke, jiske baghayr insan "jee" nahi sakta ho.
Wo khwaab jisko Haqeeqat banane me insan din raat ek kar de, wo aankhon ke saamne khaaq ban jata hai aur insan bas Bebasi se usay dekhta reh jata hai. Wo insan jisay hum apni jaan ke upar bhi tarjeeh den, wo iss qadar mayoos kardeta hai, ke ussay doori banane ke alawa koi raasta nh bachta, ya phir zindagi aur maut ka waqt uss insan ko humse door zameen ke neechay le jata hai aur hum Matti ki qabar par ronay ke alawa kuch nahi kar sakte. Allah aisa waqt Dikha Detay Hain, ke hum apne mehboob logo'n, cheezon, aur khwaabon ko apne haathon se dafna dete hain...aur uss waqt zehn me ye khayal aata hai, ke shayad iske baad saans band hojaye. Shayad ab kisi bhi lamhe zindagi khatm ho jaye. Lekin na saansein band hoti hain, na zindagi khatm hoti hai. Aur phir waqt ke saath, qarb me jeetay hue humein samajh aajata hai ke duniya ka sabse bada sadma ye hai, ke hum khatm nh hotay jab humari pasandeeda cheezein khatm hoti hain. Hum jee rhe hotay hain, chahay uss jeenay ki Wahid alamat ye ho ki hum saans lerhe hain. Tootay khwaab, bichhre hue mehboob aur gumshudah cheezon ke saath hum chalte rehte hai , jab tak meyaad hai, jeetay rehte hain. Ghum se bhari raaton me apni saansein aur imaan ko bachane ki koshish karte hain, kyunke Momin Nakeel Lagay oont ki tarah hai, jidhar usay le jaaya jaaye udhar hi chal padta hai. Momin umeed nahi haarta, Allah ke Reham se mayoos nahi hota, Momin har haal me Shukr aur Sabr ka aadi banta jata hai. Sabr ka pyala labrez bhi honay lag jaaye, to Momin yahi kehta hai,
Aapko raazi karne ke liye mai sabr karta rahunga (ya Allah) halanki mera Sabr mujhay jaan se maar raha hai. Ye meray liye kaafi hai ke Aap mujhsay raazi Hon, phir chahay mera Sabr meri jaan hi kyun na le.
✍🏻 ~ mashriqiyyah