Special Thanks To All The Lovely Mutuals For Your Warm And Encouraging Messages. I'm Overwhelmed Seeing Your Love For My Urdu Writings. - Tumblr Posts

1 year ago
Insan Ban'ne Ke Liye Sabse Pehle Ye Laazim Hai, Ke Khudka Insan Hona Tasleem Kiya Jaaye. Apne Aap Ko,

Insan ban'ne ke liye sabse pehle ye laazim hai, ke khudka Insan hona tasleem kiya jaaye. Apne aap ko, zameeni makhlooq samjha jaaye jiski zaruriyat hain, jiske ehsasat hain, aur jazbaat. Zindagi me sabse mushkil daur mujhay wo laga hai, jahan mai iss haqeeqat se bhag rahi thi, ke mujhay baaz cheezon/logon ki zarurat hai. Wajah jo bhi ho, lekin issay bhagna aksar mushkilein badha deta hai. Agar koi cheez aapko andar se pathreela mehsoos karwati hai, wo bhi aise patthar jinme har waqt zalzalay ki si larzish ho, to wo apne jazbaat par pabandi lagana hai. Ye do mukhtalif baatein hai. Awwal ye ke jazbaat ko mehsoos na karne ki saee ki jaaye, aur doosri ye ke jazbaat ko mehsoos karke, unko apni ikhlaqi zindagi par haavi na honay diya jaaye. Pehla amal aapko nafsiyati taur par kamzor kar dega. Lekin doosra, aapko insani mazbooti dega, jahan aap kamzor hai aur jaante hain, ke ye kamzori aapki fitrat me hai. Kisi baat par, kisi ke liye gussa, chidh, jalan, muhabbat, rashq wagairah jaise jazbaat mehsoos karna aapko as a human kamzor nahi banata. Haan, iss gussay ko nafrat nahi banne dena, darguzar aur muafi ka intekhab karna hai aapne, jab gussa khamoshi se chhatne diya jaaye. Kisi ke liye chidh aapko bad-ikhlaq na banaye. Na hi jalan Hasad me tabdeel ho, balke usko aap Qadr par eimaan aur baaz dafa islah ki wajah banayen. Kisi shay/shakhs ke liye aapki muhabbat junoon aur baaese zalalat na banay. Qirdar ka aur Shariat ki hudood ka ehtram karke aap uspar Sabr karna seekh jaayen. Jazbaat ko waqt den, kuch lamhat alag se nikal kar unpar royen, itminan karen ke ye waqti hain, aur saari umr aapke saath nahi rahenge, aur na hi aap inko mehsoos karke gunahgaar ban jayenge. Inka hona aapke insan honay ki sabse badi daleel hai. Isliye sabse awwal, khudko insan ke taur par tasleem karen.

~ mashriqiyyah ✍🏻


Tags :